Gumnamiyon main aksar khud ko dhoondha kartey the ,
aur jab khud ko pehchana toh yeh dekh dang reh gaye ki apni parchayi main khud ko dhoondh rahe the...
Tujhse mili anjaani bankar, kuch baaein huyi dost bankar,miltey miltey yeh ehsaas hua dost se ho kuch zyada badhkar,ab ho mere saath zindagi bankar,rehna yun,saath dena mera mere humsafar bankar,cut jaayegi yeh zindagi ek haseen kwaab banmar har pal yeh ehsaas rahega mere saath tumhari saans bankar
Rizoota Always Rocks!!!
Monday, December 19, 2011
Friday, July 16, 2010
Monday, January 25, 2010
Chalo Lau Jalayein
ankhon ko band kar lena aur yeh sochna ki aas paas sab thik hai
yeh shayad galat fehmi hi nahi dilon ki badhti lakeer hai,
yeh sochna ki koi aur toh sambhal hi lega,
yehi sochkar dilon ki lakeerein zameen par aa gayi hain,
sochkar bhi hota kya hai, aisa sochkar kab tak chup rahengey hum
aisi soch par lagana hoga ab poorn viram agar na laga sakey viram iss par
toh dur nahi woh din jab humara padosi hoga kisi aur mulak ka aur hum kisi aur ke..
Uss aankh ka kya fayada jo, jab ji chahye bandh ho jaati hain aur zarurat padhne par
" main andha hoon' keh kar phir so jaati hain..
Kabhi toh kholein inn bandh aankhon ko sirf yeh dekhne ke liye nahi ki kab zarurat ho desh ko iss ki
kyun na kholey issey hamesha toh kabhi zarurat hi na padhey desh ko isski..
har waqt dhyan rakhey ki kuch bura na hoo,
aaj humare ghar may huya to jo sahi
par kal tumhare ghar mein na ho...
chalo milkar ek lauh jalaye roshni har taraf ho,
koi ghar andhkar may dhooba na ho,
haath pakad le usska jo andhera phelayega
ussey bhi iss lauh may shayad koi jalayega...

Bandishein
Zanjeero may jakad kar zindagi yun royi,
maano samandar ne aaj pehli baar aasun lootaye hoo...
seemat kar jazbaton ko apne aap main yun baandha,
maano zindagi may khwahison ki kami si ho...
aman aur chain ki baaton ne iss tarah bandha sama,
maano yeh baat pehli baar saamney aayi ho...
Lakhon baatein, hazaron tamanaye saamne aa gayi thi,
mano pehli baar kisi ne dosti ka haath badhaya hooo..
baatein toh sabhi kiya karrtey hain aman aur shaanti ki..
kabhi kisine pehla kadam uthaaya toh ho...
Bandishon may guzar gayi hai zindagi apni,
kabhi humney inn zanjeeron ko thodhne ki koshish toh ki ho...

Keh Bhi Do
Shabdo ko baandh liya tha maine ,
kabhi apni tanhaiyi ko chupane ke liye,
bedard tanhai bhi ab kehne lagi,
keh bhi do apni jubaan se haal e dil apna kabhi...
muskurahat bhi ab chubhne lagi hai,
aankhon ke isshare abhi dhoondhle padhne lagey hain,
ab toh dil bhi kehen laga hai,
keh bhi do apni jubaan se haal e dil apna kabhi...
Hawa ka jhoka ab paraya sa lagne laga hai,
aandhiyon ka kya kehna,
halki si hawa ab dard ka ehsaas karane lagi hai
aur kehne lagi hai..

mere papa 2
Mere papa
(MY WAY TO EXPRESS THINGS..STILL LEARNING SUGGESSTIONS/CORRECTION WELCOME..PLS GUIDE)
jab se huya janam mera ..
paaya aapko aas paas humesha..
shabdo ka kabhi sahara na liya maine ..
jo chaha tha bus aapne diya wahi mujhey
woh pehla shabd sunna jab PAPA aapne
aankhon may nami toh aayi hogi,
chupakar rakha tha usey hamesha ..
jab kabhi mummmy ne poocha toh keh diya hoga...
kuch nahi shayad koi tinka aankh may gaya hoga
apni nanhi si kali ko har kadam par sambhala aapne,
har kadam par seekh bhi di thi mujhey
naa jaaney iss pyaar may kaise waqt guzar gaya
aur iss waqt ka pata hi na chala...
aaj jab bhi un tasveeron ko album se nikal kar dekti hoon
har lamha phir rangeen ho jata hai
maano yeh aaj ka nahi humara kai janamo ka nata hai
yaad nahi aata mujhko aapko kabhi gussa aaya hoga
meri harr baat ko aapne apne seene se hi lagaya hoga,
meri har haar ko apni hansi se jeet may badal diya hai,
aaj bhi mudhkar dekun jab PAPA,
wahi musurata chehra dikhta hai
Un lamho ko mehsoos kartey hain hum sabhi
par kehna kyun mushkil ho jata hai,
kyun ek hi din Father's day manatey hai
Pita ka toh harr din hota hai,
kehna hota kitna aasan agar har lamha har shabd ko baandh deti may
bus kehna hi itna hai
MY DADDY STRONGEST AND HE's THE BEST DAD...
LOVE YOU PAPA

mere papa
kuch hansi kuch muskurai...
dekho mere ghar aayi yaarn ek nanhi pari,
aisa hi kuch kaha hoga papa aapne
jab liya hoga mujhey apni bahin may
woh pal woh pyaar aaj bhi jhalakta hai
har shabd may har pal may
woh papa ka hi pyaar hai
jo aaj tak mujhey apni ore khinchta hai..
dhul miti may lipta huya dekhkar
woh gusse se dekhna aur phir pal may mujhey
apni goud may uthakar mere maathey ko chum lena
aur kehna "beta jao aur khelo"par
apna dhyaan rakhna kahin gir naa jana...
aaj bhi jab kabhi kadam ladkhada jaatey hain..
papa ke yehi shabd yaad aatey hain..
aur jab main peechey mudhakar dekti hoon
toh papa ko hamesh apne peechey mera sahara banna dekhti hoon..
LOVE U PAPA FOR ALWAYS BEING THERE FOR ME...

yeh kab shuru huya?..poem -3..
Cheekhon,aawazon ka yeh daur jo shuru huya,
na jaane kabh thamega yeh jo shor shuru huya,
rotey, bilaktein hai hum sab magar,
darr ka yeh daur kab shuru huya,
aahat se pehchantein hain apno ka aana,
aatankiyon ka apno sa aana shuru kab huya?
harr mazhab ko apna kehna seekha shuru se humne,
achanak se aatank ka yeh naya mazhab shuru kab huya?
pyaar ka paigam lekar humesha se hum ghumey,
par yeh dushmani ka aalam shuru kab huya?
chhaya tha jahan aman ka aalam
waha darindagi ka khel shuru kab huya?
chahtey toh sab hain shaanti ka paigaam dena,
par matbhedo ka yeh silsila khatam hi kab huya???...
yakeen...
humney aksar yakeen un par kiya,
jinhoney apne hona ka ehsaas diya,
dhokha bhi unhi se khaya,
jinhoney apna kar chhod diya,
kcuh chehron par aksar masumiyat ka naqab hota hai,
hota hai tabhi dhokha jab unka parda faash hota hai,
jhooth keh bhi do toh yeh toh malum hai ki,
apno ne hi kaha hai,
dost bankar maar dalo toh,
yeh keh bhi na sakengey ki,
apno ne hi marr dala hai

JAAGO INDIA JAAGO...........2
phir wahi shaam hogi,
phir wahi subah hogi,
naa hongey woh purane chehre,
jinko hamesha hum apni
aankhon ke saamney dekha kartein the,
phir wahi loog hongey,
phir wahi siyasat hogi,
par iss baar kuch naye chehre
phir kuch naye haadse,
aur unka sirf itna keh dena
"hum sab aapke saath hain"
rukh phir kisi dusri taraf karna ,
naye muddo par behas karna,
aur agar nayi musibat aaye toh bus itna kehna
" saara desh aapke saath hai"
par kya koi iss sawal ka jawab dega..???????????????????
kitni din aap humare saath hai?
kya aap honge humare saath ,
jab bache bhookh se raston par beelakh rahein honge?
kya unhey roti aap denge?
jab unka haath koi nahi thamega tab kya aap honge?
kya aap unhey naukri denge?
jab baarish may ghar ki chhat tapkegi ya utsavo par ghar may andhera hoga?
toh kya aap honge wahan humari zindagi ko ek nayi roshni dene ke liye?
haan .......
jawab tab aayega jab hoga....
CHUNAV ka din..
wooh saare loog jinko humney 5-10 saalon may shayad kb dekha hoga
sirf akhbaron ki surkhiyon may apni jagah banate aur apne hi gharwalo se wah wahi batortey huye.....
hai koi jawab..
hai toh

JAAGO INDIA JAAGO...........
naa jane kiss aandhi ne apna rukh iss ore kiya,
na jaane kitne mare aur kitno ne apni jaan gawayi,
kya farak padha un siyasat ke mahir sartajo par,
jo aksar apni kursiyon ko inn halaton se garam kiya kartein hain,
aaram ki zindagi jiya karetin hain,
Yeh jaantein hain ki inn jawano ki wajah se hum sootey hain aram ki neend,
par kya farak padhta hai inn desh ke netaon ko...
subah bus itna keh dena" humey khaid hain unke jaane ka"
aur shaam hote hi jaam takratein hain.
hastein huye yeh khed jatatein hain...
aur hum kuch kahein to kehtein hain " bhawnao ko samjho shabdo main kya rakha hai"

Monday, August 3, 2009
Wednesday, June 10, 2009
aksar
kuch pal woh haseen the..jab humse tum mile the..inhi palon ko samet kar aaj bhi jee rahey hain..issi aaas main ki phir se woh pal ho aur phir se wahi tum ho...
Aaj haathon ki lakeeron ko dekhkar yeh ehsaas honey laga hai, kuch chand khushiyn ke kiye kya yeh lakeerein hi kaafi hain...
haathon ki in lakeeron may aksar suna hai zindagi likhi hoti hai..phir aksar loog kyun inhey mitaney ki koshish kiya kartein hain???
kaun kahta hai..aasma mein ched nahi hota....koi pattathar toh tabiyat se uchchaalo yaaron....

Thursday, April 23, 2009
Rishta
kagaz ke panno si lagne lagi hai zindagi
har panna naya sa lagta hai har subah nayi si lagti hai
har panne par likha hai zindagi ka ek naya rishta
nibhaye nibhta nahi har apne ka woh rishta
har panna naya sa lagta hai har subah nayi si lagti hai
har panne par likha hai zindagi ka ek naya rishta
nibhaye nibhta nahi har apne ka woh rishta
Thursday, April 9, 2009
suntey hain hum zarur har baat ko aapki,
na jaaney kyun lagta hai aapko ki mehsus hota nahi hai,
har aahat ko pehchantey hain aapki,
na jaaney kyun yeh ehsaas aapko hota nahi hai.
kyun simat jaayun inn baaton may,
jinko kabhi hum bandish kaha kartein the,
lagne laga hai aapko yeh bandish nahi pyaar ,
par humey yeh pyaar sa lagta nahi hai

aksar dekha hai tasveer ko badltey huye,
dekha na kabhi apni takdeerko badltey huye
har lamha ek sa hota nahi hai mantey hain hum
par haseen mauka miltey dekha nahi hai humney
sochtey toh hain hum bhi magar
har soch ko sachhaiye may badaltey kabhi dekha nahi hai
phir kyun aksar yeh soch kar rukh jaatey hai hain hum
ki kabhi na kabhi taqdeer humsey milegi kissi aur ko miltey huye

Wednesday, February 25, 2009
unn kirano ko dekha hai roshni detey huye,
jo aksar aasma main ujala karti hai,
hota hoga kya jab andhera hota hai,
kaun karta hoga waha ujala,
jo sabko roshni deta hai...
aksar dekha hai suraj ko ugatey aur dhoobtey huye,
kahan se laata hai woh roshni humey tazagi dene ke liye,
Dekha hai hazaron baar roshni ko apna rang badaltey huye,
dekha nahi kabhi suraj ko apna muh humse modhtey huye
Monday, February 16, 2009
Hamesha yeh socha aur samjha tha humney
ki faaslon se dilon ka mel nahi toothta
maana tha yeh bhi humney ki
harr insaan ko ek jaisa samjha nahi kartey
phir bhi galti kar baithey hain hum
ab faaslon ko mitaney se kya fayada???
Kabhi kisika bura na sochna
samjhaya tha aur maana tha humney
par humare ek hi kadam ne itni
badi mushkil kar di
ki ab naa acha sochtey baney na bura...

Thursday, January 29, 2009
chalkar jo ruki thi may,
naa jaane kiss soch may padhi thi main,
kuch dur jaakar paya
ab tak akeli chal rahi thi main...
hota tha yakeen khud par barso pehle
naa jaane kahan kho gaya woh ehsaas abhi abhi
chalna hi chaha tha hamesh maine
kyun yeh kadam ruk gaye abhi abhi
rokha tha jaane kitno ne mujhey chalte -2
na samajh payi ishara unka,
koshishey hazar ki sabne
samjah aaya unka irada abhi abhi
Ab modh aisa aaya hai,
naa jaantey huye bhi chal rahi hoon,
thak gayi phir bhi chal rahi hoon kyunki
manzil par pahunchi hoon abhi abhi..
ehsaas kaisa hota hai
manzil paaney ka
yeh samjah aaya toh
thakaan utar gayi abhi abhi

Subscribe to:
Posts (Atom)